Sunday 21 August 2016

Hajj Ke Masayal Part :- 5

✈✈✈

      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
         *Bismillahirrahmanirrahim*
      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦

               *```Haj ke Masaail```*

                 *● Part - 05 ●*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

           *✿ Haj ke waajibaat ✿*

*1.* Wuqoofe Muzdalifa yaani 10th Zil Hijjah ki subah saadiq hone ke baad kuchh waqt ke Iiye muzdalifa mein thhaharna.
📓 [Shaami: 8/142, Kitaabul Haj]

*2.* Safa aur Marwa ke darmiyaan saee karna (tez chalna).
📓 [Shaami: 8/143, Kitaabul Haj]

*3.* Jamraat ki rami karna, yaani mina mein 3 jaghein jahaan kankariyaan maari jaati hain un ko kankariyaan maarna.
📓 [Shaami: 8/144, Kitaabul Haj]

*4.* Qaarin (haj ke dinon mein ek hi ehraam se haj-o-umraah karne waale) aur mutamatte (haj ke dinon mein alag alag ehraam se haj-o-umraah karne waale) ka qurbaani karna.
📓 [Shaami: 8/152, Kitaabul Haj]

*5.* Sar ke baal mundaana ya kam karaana.
📓 [Shaami: 8/145, Kitaabul Haj]

*Note :* In waajibaat mein se koi chhoot jaaye to dam yaani mina mein qurbaani karna laazim ho jaayega.

   {..Next - 06, Soon insha Allah..}

  📗Ref: Deeniyat Course book

         *✰ From Islamic Group ✰*
           
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

No comments:

Post a Comment