Sunday 21 August 2016

Hajj Ke Masayal Part :- 4

✈✈✈

      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
         *Bismillahirrahmanirrahim*
      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦

               *```Haj ke Masaail```*

                 *● Part - 04 ●*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

           *✿ Haj ke faraaiz ✿*

*1.* Ehraam baandhna, yaani dil se haj ki niyyat karna aur talbiyah padhna.

*2.* Wuqoofe Arfa, yaani arfaat ke maidaan mein 9th Zil Hijjah ko zuhar ke waqt se 10th Zil Hijjah ki Fajr se pehle tak kisi bhi waqt thhaharna, agarche ek minute hi ho.

*3.* Tawaafe Ziyaarat.

*4.* Oopar ki teenon cheezon ko tarteeb se karna yaani pehle ehraam baandhna, phir wuqoofe arfa karna, us ke baad tawaafe ziyaarat karna.

📓 [Shaami: 8/140,141, Kilaabul Haj]

*Note :* In faraaiz mein se koi farz chhoot jaaye to haj ada nahin hoga.

   {..Next - 05, Soon insha Allah..}

  📗Ref: Deeniyat Course book

         *✰ From Islamic Group ✰*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

No comments:

Post a Comment