Sunday 21 August 2016

Hajj Ke Masayal Part :- 2

✈✈✈

      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
         *Bismillahirrahmanirrahim*
      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦

               *```Haj ke Masaail```*

                  *● Part - 02 ●*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

*✿ Haj ke farz hone ki shartein ✿*

*1.* Musalmaan hona.

*2.* Aazaad hona.

*3.* Aaqil hona.

*4.* Baalig hona.

📓 [Shaami: 8/113-115, Kitaabul Haj]

*5.* Milkiyat mein itna sona chaandi ya rupiya paisa ho, jis ki bina par woh apne maqaam se Makkatul Mukarramah tak aane jaane ke kharch aur wahaan ke zaroori akhraajaat par qaadir ho aur jin logon ka kharch us ke zimme zaroori hai un ko Iautaane tak ka kharch de sake, yaa itne rupay ka zaroorat se zaaid makaan, saamaan wagaira ho, aur maal ki yeh miqdaar qarz se khaali ho.
📓 [Shaami: 8/117-126, Kitaabul Haj]

*6.* Tandurust hona, aisi koi beemaari na ho jis ki wajah se woh safar na kar sakta ho.
📓 [Shaami: 8/115, Kitaabul Haj]

*7.* Raaste mein jaani ya maali nuqsaan ka khatra na ho.
📓 [Shaami: 8/126. Kitaabul Haj]

*8.* Hukoomat ki taraf se koi rukaawat na ho.
📓 [Shaami: 8/116, Kitaabul Haj]

*9.* Oopar zikr ki gai sharaait ka us waqt paaya jaana jab log haj ke maosam mein haj ke Iiye rawaana hote hain.
📓 [Shaami: 8/113, Kitaabul Haj]

   {..Next - 03, Soon insha Allah..}

  📗Ref: Deeniyat Course book

         *✰ From Islamic Group ✰*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

No comments:

Post a Comment