Sunday 21 August 2016

Hajj Ke Masayal Part :- 3

✈✈✈

      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
         *Bismillahirrahmanirrahim*
      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦

               *```Haj ke Masaail```*

                 *● Part - 03 ●*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

*✿ Masla :* Jab haj farz hojaaye to faori taur par haj karna waajib hai, bila uzr der karna aur yeh khayaal karna ke abhi umr padi hai, phir kisi saal haj kar leinge, durust nahin, aisa shakhs gunahgaar hoga.

📓 [Shaami: 8/109,110, Kitaabul Haj]

*✿ Masla :* Agar kisi ke zimme haj farz tha aur us ne susti ki wajah se der kardi, phir woh aisa beemaar hogaya ke safar ke qaabil na raha, to marte waqt yeh wasiyyat karna waajib hai ke meri taraf se haj karaa dena, mar jaane ke baad us ke waariseen us ke ek tihaai maal se kisi aadmi ko kharch dekar bhejein ke woh jaakar marhoom ki taraf se haj kare, aur jo haj us ki taraf se kiya jaata hai, use "Hajje Badal" kehte hain.

   {..Next - 04, Soon insha Allah..}

  📗Ref: Deeniyat Course book

         *✰ From Islamic Group ✰*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

No comments:

Post a Comment